tu naseeb mein ho ya na ho par meri raah mein tera ghar rahe | तू नसीब में हो या ना हो पर मेरी राह में तेरा घर रहे

  - Haider Khan

tu naseeb mein ho ya na ho par meri raah mein tera ghar rahe
ho yahi ke phir usi raah par mera umr bhar ka safar rahe

mujhe hai khabar ke tu maangtaa hai khuda se mujhko duaon mein
meri aarzoo hai yahi ke ab teri har dua mein asar rahe

tu qareeb ho ya ke door ho tu ho aashna ya ho ajnabi
tera haal ham ko pata ho sab tu jahaan rahe tu jidhar rahe

meri ye ghazal meri shaayri meri chaahaton ka bayaan hain
main rahoon kabhi ya main na rahoon meri saltanat ye amar rahe

तू नसीब में हो या ना हो पर मेरी राह में तेरा घर रहे
हो यही के फिर उसी राह पर मेरा उम्र भर का सफ़र रहे

मुझे है ख़बर के तू मांगता है ख़ुदा से मुझको दुआओं में
मेरी आरज़ू है यही के अब तेरी हर दुआ में असर रहे

तू करीब हो या के दूर हो तू हो आश्ना या हो अजनबी
तेरा हाल हम को पता हो सब तू जहां रहे तू जिधर रहे

मेरी ये गज़ल मेरी शाइरी मेरी चाहतों का बयान हैं
मैं रहूं कभी या मैं ना रहूं मेरी सल्तनत ये अमर रहे

  - Haider Khan

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari