adavat hai rifaqat hai siyaasat hai
muhabbat ye bhala kaisi muhabbat hai
bahut rona padega ab sambhal jaao
nayi naslon meri tumko hidaayat hai
haqeeqat hai yahi baatil nahin kuchh bhi
khuda kaatib khudaai ye kitaabat hai
samjhte the sawaab-e-haj jise pehle
karaana shaadiyaan ab to tijaarat hai
gumaan kyun kar rahe ho hukmraani ka
sada qaayam bhala kya baadshaahat hai
muhabbat ka kare daava magar usko
zaroori main nahin meri zaroorat hai
asaasa qeemati hai ye ghazal salma
ghazalgo ki ghazalgoi muhabbat hai
अदावत है रिफ़ाक़त है सियासत है
मुहब्बत ये भला कैसी मुहब्बत है
बहुत रोना पड़ेगा अब सँभल जाओ
नई नस्लों मिरी तुमको हिदायत है
हक़ीक़त है यही बातिल नहीं कुछ भी
ख़ुदा कातिब ख़ुदाई ये किताबत है
समझते थे सवाब-ए-हज जिसे पहले
कराना शादियाँ अब तो तिजारत है
गुमाँ क्यों कर रहे हो हुक्मरानी का
सदा क़ायम भला क्या बादशाहत है
मुहब्बत का करे दावा मगर उसको
ज़रूरी मैं नहीं मेरी ज़रूरत है
असासा क़ीमती है ये ग़ज़ल 'सलमा'
ग़ज़लगो की ग़ज़लगोई मुहब्बत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Salma Malik
our suggestion based on Salma Malik
As you were reading Sad Shayari Shayari