tamaam deepak to bujh chuke hain magar ye deepak bujha nahin hai
ye pyaar ka deep hai niraala jo ab talak bujh saka nahin hai
nazar uthaana nazar jhukaana nazar milaana nazar bachaana
nazar ke kitne hain raaz gehre inheen nazar ko pata nahin hai
jo apne gesu mein tu lagaaye vo phool mujhko pasand aaye
jo maang luun to manaa hi karke kahegi tu yun manaa nahin hai
mujhe safar mein jo tum mile ho to raas apna safar laga hai
tumhein bataaun to kya bataaun tumhein to ye bhi pata nahin hai
dabee-dabee si jo baat dil ki humeen ne sabse chhupaaye rakhi
pata chala to sabhi ne bola hamein to kuchh bhi pata nahin hai
तमाम दीपक तो बुझ चुके हैं मगर ये दीपक बुझा नहीं है
ये प्यार का दीप है निराला जो अब तलक बुझ सका नहीं है
नज़र उठाना, नज़र झुकाना, नज़र मिलाना, नज़र बचाना
नज़र के कितने हैं राज़ गहरे इन्हीं नज़र को पता नहीं है
जो अपने गेसू में तू लगाए वो फूल मुझको पसंद आए
जो माँग लूँ तो मना ही करके कहेगी तू यूँ मना नहीं है
मुझे सफ़र में जो तुम मिले हो तो रास अपना सफ़र लगा है
तुम्हें बताऊँ तो क्या बताऊँ तुम्हें तो ये भी पता नहीं है
दबी-दबी सी जो बात दिल की हमीं ने सबसे छुपाए रक्खी
पता चला तो सभी ने बोला हमें तो कुछ भी पता नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Toyesh prakash
our suggestion based on Toyesh prakash
As you were reading Love Shayari Shayari