tumse chehra padha nahin jaata
mujhse vo sach kaha nahin jaata
haal tumse suna nahin jaata
haal hamse kaha nahin jaata
laut aana kabhi jo door hon to
hamse tum bin raha nahin jaata
us taraf bhi khuda yakeenan hai
jis taraf vo khuda nahin jaata
mere ham mein tumheen to shaamil ho
mujhse main main kiya nahin jaata
koi tumse kahe galat kuchh bhi
ye to hamse saha nahin jaata
dil use de chuke humeen paagal
jisse ye bhi liya nahin jaata
bolti hai samajhna hai tumhein ab
aur samjha bhi kya nahin jaata
pyaar hai par nahin kaheinge ham
usse bhi to kaha nahin jaata
ek sapna jo dekhte the ham
ab vo hamse jiya nahin jaata
kaam hai yun nadi ka badh jaana
hamse bhi ab ruka nahin jaata
chhodta hoon khudi khuda par main
bekhudi ka khuda nahin jaata
vo haseen dekh dil mein aayi hai
dil mein toyaesh kya nahin jaata
तुमसे चेहरा पढ़ा नहीं जाता
मुझसे वो सच कहा नहीं जाता
हाल तुमसे सुना नहीं जाता
हाल हमसे कहा नहीं जाता
लौट आना कभी जो दूर हों तो
हमसे तुम बिन रहा नहीं जाता
उस तरफ़ भी ख़ुदा यकीनन है
जिस तरफ़ वो ख़ुदा नहीं जाता
मेरे हम में तुम्हीं तो शामिल हो
मुझसे मैं मैं किया नहीं जाता
कोई तुमसे कहे ग़लत कुछ भी
ये तो हमसे सहा नहीं जाता
दिल उसे दे चुके हमीं पागल
जिससे ये भी लिया नहीं जाता
बोलती है समझना है तुम्हें अब
और समझा भी क्या नहीं जाता
प्यार है पर नहीं कहेंगे हम
उससे भी तो कहा नहीं जाता
एक सपना जो देखते थे हम
अब वो हमसे जिया नहीं जाता
काम है यूँ नदी का बढ़ जाना
हमसे भी अब रुका नहीं जाता
छोड़ता हूँ ख़ुदी ख़ुदा पर मैं
बेख़ुदी का ख़ुदा नहीं जाता
वो हसीं देख दिल में आयी है
दिल में तोयेश क्या नहीं जाता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Toyesh prakash
our suggestion based on Toyesh prakash
As you were reading Chehra Shayari Shayari