usse milne ki hai chaahat | उससे मिलने की है चाहत

  - Toyesh prakash

usse milne ki hai chaahat
jiski karte hain ibadat

jab bhi ki usse shikaayat
jaise khud se ki hai nafrat

kya kahoon main hai izazat
haan hai tumse hi mohabbat

jee ki itni hi hai hasrat
tu uthaaye apna ghoonghat

hai bada ye raaz khud mein
ham jise kahte hain qudrat


tum na rona yun kabhi ab

hai tumheen se meri taqat


dekhta hi rah gaya main
jabse dekhi teri soorat


aur kuchh aadat nahin hai

bas tumheen ho meri aadat
vo khafa ho kar na bole

to barasti hai qayaamat
jab talak tu paas mein ho

door hon tab saari diqqat
maangte hain ye dua bas

vo hamesha hon salaamat
khwaab mein vo ab milenge

khwaab apni hai zaroorat
vo nahin ye jaante hain

dil pe unki hai hukoomat
sab haqeeqat jhooth hi hai

vo hi keval hai haqeeqat
baat meri vo samajh le

to mujhe hoti hai hairat
haal mera tab hi poocha

jab kabhi ho usko fursat


dard de kar hi sikhaaya
jab khuda ne ki inaayat

jo mili toyaesh ko hai
tu wahi hai ek daulat

उससे मिलने की है चाहत
जिसकी करते हैं इबादत

जब भी की उससे शिकायत
जैसे ख़ुद से की है नफ़रत

क्या कहूँ मैं है इज़ाज़त
हाँ! है तुमसे ही मोहब्बत

जी की इतनी ही है हसरत
तू उठाए अपना घूँघट

है बड़ा ये राज़ ख़ुद में
हम जिसे कहते हैं कुदरत


तुम न रोना यूँ कभी अब

है तुम्हीं से मेरी ताक़त


देखता ही रह गया मैं
जबसे देखी तेरी सूरत


और कुछ आदत नहीं है

बस तुम्हीं हो मेरी आदत
वो ख़फ़ा हो कर न बोले

तो बरसती है क़यामत
जब तलक तू पास में हो

दूर हों तब सारी दिक़्क़त
माँगते हैं ये दुआ बस

वो हमेशा हों सलामत
ख़्वाब में वो अब मिलेंगे

ख़्वाब अपनी है ज़रूरत
वो नहीं ये जानते हैं

दिल पे उनकी है हुकूमत
सब हक़ीक़त झूठ ही है

वो ही केवल है हक़ीक़त
बात मेरी वो समझ ले

तो मुझे होती है हैरत
हाल मेरा तब ही पूछा

जब कभी हो उसको फुर्सत


दर्द दे कर ही सिखाया
जब ख़ुदा ने की इनायत

जो मिली तोयेश को है
तू वही है एक दौलत

  - Toyesh prakash

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Toyesh prakash

As you were reading Shayari by Toyesh prakash

Similar Writers

our suggestion based on Toyesh prakash

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari