vo tu nahin agar koi tujh sa zaroor tha
aankhon ka kab qusoor ye dil ka qusoor tha
vo jo chadha tha pyaar ka tere fitoor tha
dil be-qaraar tha to yun aankhon mein noor tha
tujh par ghuroor tha na hi khud par ghuroor tha
jispar ghuroor tha vo mohabbat suroor tha
likhna muhaal haal bhi apna tha yun mujhe
likhta main haal haath agar dil se door tha
ye pyaar ho gaya hai yun hamne nahin kiya
tera qusoor tha na ye mera qusoor tha
mujhse kaha gaya tha ki do din ki baat thi
toyaesh door vo main mohabbat mein choor tha
वो तू नहीं अगर कोई तुझ सा ज़रूर था
आँखों का कब क़ुसूर ये दिल का क़ुसूर था
वो जो चढ़ा था प्यार का तेरे फ़ितूर था
दिल बे-क़रार था तो यूँ आँखों में नूर था
तुझ पर ग़ुरूर था न ही ख़ुद पर ग़ुरूर था
जिसपर ग़ुरूर था वो मोहब्बत सुरूर था
लिखना मुहाल हाल भी अपना था यूँ मुझे
लिखता मैं हाल हाथ अगर दिल से दूर था
ये प्यार हो गया है यूँ हमने नहीं किया
तेरा क़ुसूर था न ये मेरा क़ुसूर था
मुझसे कहा गया था कि दो दिन की बात थी
'तोयेश' दूर वो, मैं मोहब्बत में चूर था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Toyesh prakash
our suggestion based on Toyesh prakash
As you were reading Charagh Shayari Shayari