aligarh hai yahan ai dost kya paaya nahin jaata
yahan vo kaun sa sho hai jo dikhlaayaa nahin jaata
ye ilm-o-fan ka gahvaara hai tahzeebi idaara hai
nazar mein ye hamaari to siyaasat ka akhaadaa hai
har ik sho'be mein paoge yahan tum party-baazi
yahan rahti hai aapas mein hamesha turki-o-taazi
khuda ke fazl se ahl-e-hunr hain ahl-e-fan sab hain
magar dedh eent ki masjid banaane mein magan sab hain
yahan aasaar baaki hain abhi jaageer-daari ke
muhaafiz paaye jaate hain abhi sarmaaya-daari ke
gazab ke hain jo yahan ke inqilaabi hain
yahan jo ishtiraaki hain samajh lo bas kitaabi hain
yahan mazhab ke thekedaar bhi milte hain bahutere
yahan lath-baaz-o-chaaku-maar bhi milte hain bahutere
aligarh ke kisi function mein gar tashreef le jaayen
jo fiqre-e-baaziyaan hongi na un se aap ghabraayein
khuda-n-khwasta gande lafnge aur na lacche hain
ye taalib-ilm college ke shareefon ke ye bacche hain
faqat qaumi rivaayat ka ye apni paas rakhte hain
koi parwa na kijeye ye faqat bakwaas rakhte hain
har ik mehfil mein hoti hai yahan hungaama-aaraai
ki achhe achhe ilm-o-fan bante hain saudaai
yahan ahl-e-aligarh jo bhi subh-o-shaam karte hain
bade laayeq hain sar-sayyad ka ooncha naam karte hain
yahan ki begamen bhi ik niraali shaan rakhti hain
numood-e-zaahiri ka har qadam par dhyaan rakhti hain
padhi-likkhi hon ya an-padh yahan dono barabar hain
jo mauzoo-e-sukhan suniye to kapde aur zewar hain
alaava is ke ya to naukaron par nauha-khwaani hai
nahin to gheebaten hain shaikhiyaan hain lan-taraani hai
samaaji mashghalon mein ya to hain shaadi ki taqreeben
nahin to mahfil-e-meelaad vo majlis niyaaz aur nazrein
kahi hai ijtima tablighiyon ka ek kothee mein
to hai shiyon ki majlis aur raqaim doosre ghar mein
zara jo modern thahrein vo hain filmen ki shaidai
nayi tasveer jo aaye to goya in ki ban aaye
अलीगढ़ है यहाँ ऐ दोस्त क्या पाया नहीं जाता
यहाँ वो कौन सा शो है जो दिखलाया नहीं जाता
ये इल्म-ओ-फ़न का गहवारा है तहज़ीबी इदारा है
नज़र में ये हमारी तो सियासत का अखाड़ा है
हर इक शो'बे में पाओगे यहाँ तुम पार्टी-बाज़ी
यहाँ रहती है आपस में हमेशा तुर्की-ओ-ताज़ी
ख़ुदा के फ़ज़्ल से अहल-ए-हुनर हैं अहल-ए-फ़न सब हैं
मगर डेढ़ ईंट की मस्जिद बनाने में मगन सब हैं
यहाँ आसार बाक़ी हैं अभी जागीर-दारी के
मुहाफ़िज़ पाए जाते हैं अभी सरमाया-दारी के
ग़ज़ब के हैं जो यहाँ के इंक़िलाबी हैं
यहाँ जो इश्तिराकी हैं समझ लो बस किताबी हैं
यहाँ मज़हब के ठेकेदार भी मिलते हैं बहतेरे
यहाँ लठ-बाज़-ओ-चाक़ू-मार भी मिलते हैं बहतेरे
अलीगढ़ के किसी फ़ंक्शन में गर तशरीफ़ ले जाएँ
जो फ़िक़्रे-ए-बाज़ियाँ होंगी न उन से आप घबराएँ
ख़ुदा-न-ख़्वास्ता गंडे लफ़ंगे और न लच्चे हैं
ये तालिब-इल्म कॉलेज के शरीफ़ों के ये बच्चे हैं
फ़क़त क़ौमी रिवायत का ये अपनी पास रखते हैं
कोई परवा न कीजे ये फ़क़त बकवास रखते हैं
हर इक महफ़िल में होती है यहाँ हंगामा-आराई
कि अच्छे अच्छे इल्म-ओ-फ़न बनते हैं सौदाई
यहाँ अहल-ए-अलीगढ़ जो भी सुब्ह-ओ-शाम करते हैं
बड़े लाएक़ हैं सर-सय्यद का ऊँचा नाम करते हैं
यहाँ कि बेगमें भी इक निराली शान रखती हैं
नुमूद-ए-ज़ाहिरी का हर क़दम पर ध्यान रखती हैं
पढ़ी-लिक्खी हों या अन-पढ़ यहाँ दोनों बराबर हैं
जो मौज़ू-ए-सुख़न सुनिए तो कपड़े और ज़ेवर हैं
अलावा इस के या तो नौकरों पर नौहा-ख़्वानी है
नहीं तो ग़ीबतें हैं शैख़ियाँ हैं लन-तरानी है
समाजी मशग़लों में या तो हैं शादी की तक़रीबें
नहीं तो महफ़िल-ए-मीलाद वो मज्लिस नियाज़ और नज़रें
कहीं है इज्तिमा तब्लीग़ियों का एक कोठी में
तो है शीओं की मज्लिस और रक़ाइम दूसरे घर में
ज़रा जो मॉडर्न ठहरीं वो हैं फ़िल्मों की शैदाई
नई तस्वीर जो आए तो गोया इन की बन आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Unknown
our suggestion based on Unknown
As you were reading Dost Shayari Shayari