bade buzdil hain lekin phir bhi himmat kar rahe hain ham
tumhaare shehar mein rah kar mohabbat kar rahe hain ham
abhi tak theek se aayi nahin hai dhun mohabbat ki
guzishta saath janmon se riyaazat kar rahe hain ham
tumhein kaisa lagega gar kisi pinjare mein rakh kar ke
koi tumse kahe teri hifazat kar rahe hain ham
wagarana jisko chhodaa hai use mudkar nahin dekha
ghaneemat jaan ke tujhse shikaayat kar rahe hain ham
mere rone se khaahif hain magar kya isse waqif hain
ki ye maatam bhala kis ki badaulat kar rahe hain ham
बड़े बुज़दिल हैं लेकिन फिर भी हिम्मत कर रहे हैं हम
तुम्हारे शहर में रह कर मोहब्बत कर रहे हैं हम
अभी तक ठीक से आयी नहीं है धुन मोहब्बत की
गुज़िश्ता सात जन्मों से रियाज़त कर रहे हैं हम
तुम्हें कैसा लगेगा गर किसी पिंजरे में रख कर के
कोई तुमसे कहे तेरी हिफ़ाज़त कर रहे हैं हम
वगरना जिसको छोड़ा है, उसे मुड़कर नहीं देखा
ग़नीमत जान के तुझसे शिकायत कर रहे हैं हम
मेरे रोने से ख़ाहिफ़ हैं मगर क्या इससे वाक़िफ़ हैं
कि ये मातम भला किस की बदौलत कर रहे हैं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vashu Pandey
our suggestion based on Vashu Pandey
As you were reading Hausla Shayari Shayari