daagh hone lage zaahir mere
tez kar rang musavvir mere
meri aankhon mein siyaahi bhar de
ya hare kar de manaazir mere
nuqraai jheel bulaati thi unhen
fans gaye jaal mein taair mere
kaun tahleel hua hai mujh mein
muntashir kyun hain anaasir mere
hai kahaan shank bajaane waala
kab se khaamosh hain mandir mere
sang se jism bhi kar ab mujh ko
tu kahaan khoya hai saahir mere
lafz ki qaid-o-rihaai ka hunar
kaam aa hi gaya aakhir mere
दाग़ होने लगे ज़ाहिर मेरे
तेज़ कर रंग मुसव्विर मेरे
मेरी आँखों में सियाही भर दे
या हरे कर दे मनाज़िर मेरे
नुक़रई झील बुलाती थी उन्हें
फँस गए जाल में ताइर मेरे
कौन तहलील हुआ है मुझ में
मुंतशिर क्यूँ हैं अनासिर मेरे
है कहाँ शंख बजाने वाला
कब से ख़ामोश हैं मंदिर मेरे
संग से जिस्म भी कर अब मुझ को
तू कहाँ खोया है साहिर मेरे
लफ़्ज़ की क़ैद-ओ-रिहाई का हुनर
काम आ ही गया आख़िर मेरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Sharma Raaz
our suggestion based on Vikas Sharma Raaz
As you were reading Hunar Shayari Shayari