savaad-e-shaam mein sab vahshiyon ka jalsa ho
lahu ka raag ho aur naghma-saaz pyaasa ho
suna rahe hain mujhe log dastaan uski
is etimaad se jaise kisi ne dekha ho
kisi ke hont suron mein kalaam karte hon
kisi ka ranj udaasi ki taan leta ho
kisi kanaar ki khushboo se sher khulne lagen
ki baat baat nahin ho bas ik ishaara ho
bala-e-sard koi shaal ho sitaaron jada
khizaan ki shaam ho aur sardiyon ka qissa ho
gila na kar ki gila maatam-e-mohabbat hai
gale se lag ke bata mujhse jo bhi shikwa ho
ab aa gaye hain ki aakhir teri gali ka bharam
kahi kiwaad ki dastak hi se na khulta ho
main ye samajh ke rag-e-gul se baat karta hoon
koi to baagh mein mera hisaab likhta ho
सवाद-ए-शाम में सब वहशियों का जलसा हो
लहू का राग हो और नग़मा-साज़ प्यासा हो
सुना रहे हैं मुझे लोग दास्ताँ उसकी
इस एतिमाद से जैसे किसी ने देखा हो
किसी के होंट सुरों में कलाम करते हों
किसी का रंज उदासी की तान लेता हो
किसी कनार की ख़ुशबू से शेर खुलने लगें
कि बात बात नहीं हो बस इक इशारा हो
बला-ए-सर्द कोई शाल हो सितारों जड़ा
ख़िज़ाँ की शाम हो और सर्दियों का क़िस्सा हो
गिला न कर कि गिला मातम-ए-मोहब्बत है
गले से लग के बता मुझसे जो भी शिकवा हो
अब आ गए हैं कि आख़िर तेरी गली का भरम
कहीं किवाड़ की दस्तक ही से न खुलता हो
मैं ये समझ के रग-ए-गुल से बात करता हूँ
कोई तो बाग़ में मेरा हिसाब लिखता हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari