bas sawaalon par zara sa kohra kar dekh lo
in ilaakon ki nayi rasme pata kar dekh lo
roz pairo'n ko patkate laut aata hai junoon
ab talak se sabr ko bhi hamnava kar dekh lo
siskiyon cheekhon guhaaron ki tumhein aadat nahin
ho sake to raat ka malba utha kar dekh lo
darmiyaan jo tha kabhi vo yaad mein milta rahe
kaun kehta hai ki phir se silsila kar dekh lo
muddaton ke baad us hi mod par ham aa mile
is kahaani ko haqeeqat se mila kar dekh lo
बस सवालों पर ज़रा सा कोहरा कर देख लो
इन इलाकों की नई रस्मे पता कर देख लो
रोज़ पैरों को पटकते लौट आता है जुनूँ
अब तलक से सब्र को भी हमनवा कर देख लो
सिसकियों, चीखों, गुहारों की तुम्हें आदत नहीं
हो सके तो रात का मलबा उठा कर देख लो
दरमियाँ जो था कभी वो याद में मिलता रहे
कौन कहता है कि फिर से सिलसिला कर देख लो
"मुद्दतों के बाद उस ही मोड़ पर हम आ मिले"
इस कहानी को हक़ीक़त से मिला कर देख लो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vishwajeet Gudadhe
our suggestion based on Vishwajeet Gudadhe
As you were reading Sach Shayari Shayari