hari masjid ki halki dhoop mein | हरी मस्जिद की हल्की धूप में

  - Waheed Ahmad

hari masjid ki halki dhoop mein
taaza wazu se geelay paanv
aur tapakti aasteenon ki chamak mein log the
jo saf-b-saf
apna janaaza padh rahe the
sadar darwaaze se
ik baarood mein dooba hua
jannat ka satta-baaz aur huroon ka saudaagar
achaanak sahv ka sajda ada karne ko aaya
aur hari masjid ne apna rang badla
qurmuzi dahleez par jitne bhi joote the
vo taaza khoon par pehle to tere
aur phir
jamte lahu par jam gaye

main bachpan mein
kai mulkon ke sikke aur tickets jama karta tha
bayaaz-e-zehan ke tareek pannon par
main ab jismoon ke tukde jama karta hoon
meri album ke safhon ki tahon se khun nikalta hai
meri aankhon se rishta hai

हरी मस्जिद की हल्की धूप में
ताज़ा वज़ू से गीले पाँव
और टपकती आस्तीनों की चमक में लोग थे
जो सफ़-ब-सफ़
अपना जनाज़ा पढ़ रहे थे
सदर दरवाज़े से
इक बारूद में डूबा हुआ
जन्नत का सट्टा-बाज़ और हूरों का सौदागर
अचानक सहव का सज्दा अदा करने को आया
और हरी मस्जिद ने अपना रंग बदला
क़ुर्मुज़ी दहलीज़ पर जितने भी जूते थे
वो ताज़ा ख़ून पर पहले तो तेरे
और फिर
जमते लहू पर जम गए

मैं बचपन में
कई मुल्कों के सिक्के और टिकटें जमा करता था
बयाज़-ए-ज़हन के तारीक पन्नों पर
मैं अब जिस्मों के टुकड़े जमा करता हूँ
मिरी एल्बम के सफ़्हों की तहों से ख़ूँ निकलता है
मिरी आँखों से रिसता है

  - Waheed Ahmad

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Waheed Ahmad

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari