waqt aa gaya ab raat ka
phir tham gai chalti hawa
khaamosh hai saari fazaa
chaaron taraf ik noor sa
barsa rahi hai chaandni
dekho vo baadal aa gaye
aur chaand par bhi chha gaye
is noor ke aanchal mein ab
is qaid is baadal mein ab
ghabra rahi hai chaandni
ai lo vo baadal chhat gaye
aur chaand par se hat gaye
har har dar-o-deewar par
dariya pe aur kohsaar par
phir chha rahi hai chaandni
ab to subh hone lagi
kuchh badh chali hai raushni
ruksat hue taare bhi sab
roti hui shabnam ko ab
bahla rahi hai chaandni
वक़्त आ गया अब रात का
फिर थम गई चलती हवा
ख़ामोश है सारी फ़ज़ा
चारों तरफ़ इक नूर सा
बरसा रही है चाँदनी
देखो वो बादल आ गए
और चाँद पर भी छा गए
इस नूर के आँचल में अब
इस क़ैद इस बादल में अब
घबरा रही है चाँदनी
ऐ लो वो बादल छट गए
और चाँद पर से हट गए
हर हर दर-ओ-दीवार पर
दरिया पे और कोहसार पर
फिर छा रही है चाँदनी
अब तो सुब्ह होने लगी
कुछ बढ़ चली है रौशनी
रुख़्सत हुए तारे भी सब
रोती हुई शबनम को अब
बहला रही है चाँदनी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Waheeda Naseem
As you were reading Chaand Shayari Shayari