gum hue yun ki kabhi mere shanaasa hi na the | गुम हुए यूँ कि कभी मेरे शनासा ही न थे

  - Wali Alam Shaheen

gum hue yun ki kabhi mere shanaasa hi na the
kuchh likha hota tumhein mujh se shikaayat kya hai
khabar kab aaye ho kaise sunaao pyaare
kya khabar laaye ho yaaron ki hikaayat kya hai
us ne ye kuchh na kaha
aur kaha to itna
khel dil-chasp hai nazzare karo

aur phir ek khala
ek giran-baar khamoshi ki aziyyat le kar
main ye kehta hua uth aaya
ki haan
khel hai dilchasp bahut

गुम हुए यूँ कि कभी मेरे शनासा ही न थे
कुछ लिखा होता तुम्हें मुझ से शिकायत क्या है
ख़बर कब आए हो कैसे सुनाओ प्यारे
क्या ख़बर लाए हो यारों की हिकायत क्या है
उस ने ये कुछ न कहा
और कहा तो इतना
खेल दिल-चस्प है नज़्ज़ारे करो

और फिर एक ख़ला
एक गिराँ-बार ख़मोशी की अज़िय्यत ले कर
मैं ये कहता हुआ उठ आया
कि हाँ
खेल है दिलचस्प बहुत

  - Wali Alam Shaheen

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wali Alam Shaheen

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari