chaand ka khwaab ujaalon ki nazar lagta hai
tu jidhar ho ke guzar jaaye khabar lagta hai
us ki yaadon ne ugaa rakhe hain suraj itne
shaam ka waqt bhi aaye to sehar lagta hai
ek manzar pe thehrne nahin deti fitrat
umr bhar aankh ki qismat mein safar lagta hai
main nazar bhar ke tire jism ko jab dekhta hoon
pehli baarish mein nahaaya sa shajar lagta hai
be-sahaara tha bahut pyaar koi poochta kya
tu ne kaandhe pe jagah di hai to sar lagta hai
teri qurbat ke ye lamhe use raas aayein kya
subh hone ka jise shaam se dar lagta hai
चाँद का ख़्वाब उजालों की नज़र लगता है
तू जिधर हो के गुज़र जाए ख़बर लगता है
उस की यादों ने उगा रक्खे हैं सूरज इतने
शाम का वक़्त भी आए तो सहर लगता है
एक मंज़र पे ठहरने नहीं देती फ़ितरत
उम्र भर आँख की क़िस्मत में सफ़र लगता है
मैं नज़र भर के तिरे जिस्म को जब देखता हूँ
पहली बारिश में नहाया सा शजर लगता है
बे-सहारा था बहुत प्यार कोई पूछता क्या
तू ने काँधे पे जगह दी है तो सर लगता है
तेरी क़ुर्बत के ये लम्हे उसे रास आएँ क्या
सुब्ह होने का जिसे शाम से डर लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading I Miss you Shayari Shayari