sirf tera naam le kar rah gaya
aaj deewaana bahut kuchh kah gaya
kya meri taqdeer mein manzil nahin
fasla kyun muskuraa kar rah gaya
zindagi duniya mein aisa ashk thi
jo zara palkon pe thehra bah gaya
aur kya tha us ki pursish ka jawaab
apne hi aansu chhupa kar rah gaya
us se pooch ai kaamyaab-e-zindagi
jis ka afsaana adhoora rah gaya
haaye kya deewaangi thi ai waseem
jo na kehna chahiye tha kah gaya
सिर्फ़ तेरा नाम ले कर रह गया
आज दीवाना बहुत कुछ कह गया
क्या मिरी तक़दीर में मंज़िल नहीं
फ़ासला क्यूँ मुस्कुरा कर रह गया
ज़िंदगी दुनिया में ऐसा अश्क थी
जो ज़रा पलकों पे ठहरा बह गया
और क्या था उस की पुर्सिश का जवाब
अपने ही आँसू छुपा कर रह गया
उस से पूछ ऐ कामयाब-ए-ज़िंदगी
जिस का अफ़्साना अधूरा रह गया
हाए क्या दीवानगी थी ऐ 'वसीम'
जो न कहना चाहिए था कह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Manzil Shayari Shayari