ik be-ant vujood hai is ka | इक बे-अंत वजूद है इस का

  - Wazir Agha

ik be-ant vujood hai is ka
gehre kaale makhmal aisa
jis par laakhon arbon aankhen
naqsh hui hain
in aankhon mein
main ik aisi aankh hoon
jis ne
ek hi pal mein
saara manzar
aur manzar ke peeche ka sab khaali manzar
dekh liya hai
takna is ne seekh liya hai
par vo gahra kaala makhmal
us ko is se garz nahin hai
kaun si aankh ko beenaai ka daan mila hai
kya is ka anjaam hua hai

इक बे-अंत वजूद है इस का
गहरे काले मख़मल ऐसा
जिस पर लाखों अरबों आँखें
नक़्श हुई हैं
इन आँखों में
मैं इक ऐसी आँख हूँ
जिस ने
एक ही पल में
सारा मंज़र
और मंज़र के पीछे का सब ख़ाली मंज़र
देख लिया है
तकना इस ने सीख लिया है
पर वो गहरा काला मख़मल
उस को इस से ग़रज़ नहीं है
कौन सी आँख को बीनाई का दान मिला है
क्या इस का अंजाम हुआ है

  - Wazir Agha

Charity Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Charity Shayari Shayari