chali kab hawa kab mita naqsh-e-paa
kab giri ret ki vo rida
jis mein chhupte hue tu ne mujh se kaha
aage badh aage badhta hi ja
mud ke takne ka ab faaeda
koi chehra koi chaap maazi ki koi sada kuchh nahin ab
ai gale ke tanhaa muhaafiz tira ab muhaafiz khuda
mere honton pe kaf
mere raa'sha-zada baazuon se latkati hui gosht ki dhajjiyaan
aur laakhon baras ka budhaapa
jo mujh mein samaa kar humkane laga
mujh ko maazi se katne ka kuchh dar nahin
apne ham-zaad ko roo-b-roo pa ke main gham-zada bhi nahin
ye asa jhukte shaanon pe kaali aba aur gale ke chalne ka paiham sada
ab yahi meri qismat yahi aasraa
चली कब हवा कब मिटा नक़्श-ए-पा
कब गिरी रेत की वो रिदा
जिस में छुपते हुए तू ने मुझ से कहा
आगे बढ़ आगे बढ़ता ही जा
मुड़ के तकने का अब फ़ाएदा
कोई चेहरा कोई चाप माज़ी की कोई सदा कुछ नहीं अब
ऐ गले के तन्हा मुहाफ़िज़ तिरा अब मुहाफ़िज़ ख़ुदा
मेरे होंटों पे कफ़
मेरे रा'शा-ज़दा बाज़ुओं से लटकती हुई गोश्त की धज्जियाँ
और लाखों बरस का बुढ़ापा
जो मुझ में समा कर हुमकने लगा
मुझ को माज़ी से कटने का कुछ डर नहीं
अपने हम-ज़ाद को रू-ब-रू पा के मैं ग़म-ज़दा भी नहीं
ये असा झुकते शानों पे काली अबा और गले के चलने का पैहम सदा
अब यही मेरी क़िस्मत यही आसरा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Wazir Agha
As you were reading Hug Shayari Shayari