sehar hui to kisi ne uth kar | सहर हुई तो किसी ने उठ कर

  - Wazir Agha

sehar hui to kisi ne uth kar
lahu mein tar ek surkh booti
badi karaahat se
aasmaan ke faraakh aangan mein fenk di aur
taveel matli ki jaan-leva si kaifiyat se najaat paai
magar falak ke faraakh aangan mein
baadlon ke safed sag us ke muntazir the
jhapat pade us lahu mein tar dil ke lothade par
jhapat pade ek doosre par
zameen ke logon ne der tak ye ladai dekhi
safed kutto ke surkh jabde
lahu mein tar ek laal tukda dareeda suraj
harees giraate baadlon ka taveel gahra muheeb dukhda
meri zameen bhi to gosht ka lothdaa thi jis ko
kisi ne andhe khala mein fenka
magar na koi bhi us pe jhapta
tab us ke andar se aaye baahar
usi ke dushman
usi ki boo par
hazaaron khoon-khwaar tund kutte
harees jabde
aur ab dareeda zameen saari
tapakte girte lahu ke qatron mein ris rahi hai
khud apne khoon-khwaar tund bacchon ke tez jabdon mein pis rahi hai

सहर हुई तो किसी ने उठ कर
लहू में तर एक सुर्ख़ बूटी
बड़ी कराहत से
आसमाँ के फ़राख़ आँगन में फेंक दी और
तवील मतली की जान-लेवा सी कैफ़ियत से नजात पाई
मगर फ़लक के फ़राख़ आँगन में
बादलों के सफ़ेद सग उस के मुंतज़िर थे
झपट पड़े उस लहू में तर दिल के लोथड़े पर
झपट पड़े एक दूसरे पर
ज़मीन के लोगों ने देर तक ये लड़ाई देखी
सफ़ेद कुत्तों के सुर्ख़ जबड़े
लहू में तर एक लाल टुकड़ा दरीदा सूरज
हरीस गिराते बादलों का तवील गहरा मुहीब दुखड़ा
मिरी ज़मीं भी तो गोश्त का लोथड़ा थी जिस को
किसी ने अंधे ख़ला में फेंका
मगर न कोई भी उस पे झपटा
तब उस के अंदर से आए बाहर
उसी के दुश्मन
उसी की बू पर
हज़ारों खूँ-ख़्वार तुंद कुत्ते
हरीस जबड़े
और अब दरीदा ज़मीन सारी
टपकते गिरते लहू के क़तरों में रिस रही है
ख़ुद अपने खूँ-ख़्वार तुंद बच्चों के तेज़ जबड़ों में पिस रही है

  - Wazir Agha

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Wazir Agha

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari