sun ke bhi chup hi raha
talkh baatein mushk-baar afghani qahve ke
raseele ghoont mein ghul-mil gaeein
ye haqeeqat aur thi ki baap daada qissa-go mashhoor the
is liye vo chup raha
taarikh ke naqshe mein
jin shehron ki shohrat goonjti hai
vo khamoshi ke is azli rang se zaahir hue
jis se shanaasaai nahin hai
is hujoom-e-shor-o-shar ki
us ne socha
yaad-gaari chauk mein chaaron taraf
ye bolte bazaar hain
is liye afsurdagi mein gum khade
us bed-e-majnoon par
nazar padti nahin
jo akela rah gaya hai qissa-khwaanon mein yahan
be-rang ukhdati chaal. par
chaaqoo se kanda naam feeka pad gaya hai
kanda-kaari ja mili hai khaak se
waqt ki ghaflat ne kya saabit kiya
zakham khaane aur lagaane waalon mein
kaun fatah-yaab hain
sheerin-gul
aage suna
kya sabz aankhon mein bhi khaaki khwaab hain
सुन के भी चुप ही रहा
तल्ख़ बातें मुश्क-बार अफ़्ग़ानी क़हवे के
रसीले घूँट में घुल-मिल गईं
ये हक़ीक़त और थी कि बाप दादा क़िस्सा-गो मशहूर थे
इस लिए वो चुप रहा
तारीख़ के नक़्शे में
जिन शहरों की शोहरत गूँजती है
वो ख़मोशी के इस अज़ली रंग से ज़ाहिर हुए
जिस से शनासाई नहीं है
इस हुजूम-ए-शोर-ओ-शर की
उस ने सोचा
याद-गारी चौक में चारों तरफ़
ये बोलते बाज़ार हैं
इस लिए अफ़्सुर्दगी में गुम खड़े
उस बेद-ए-मजनूँ पर
नज़र पड़ती नहीं
जो अकेला रह गया है क़िस्सा-ख़्वानों में यहाँ
बे-रंग उखड़ती छाल पर
चाक़ू से कंदा नाम फीका पड़ गया है
कंदा-कारी जा मिली है ख़ाक से
वक़्त की ग़फ़लत ने क्या साबित किया
ज़ख़्म खाने और लगाने वालों में
कौन फ़तह-याब हैं
शीरीं-गुल!
आगे सुना
क्या सब्ज़ आँखों में भी ख़ाकी ख़्वाब हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Yameen
As you were reading Sad Shayari Shayari