na ki jafaon mein us ne koi kasar phir bhi
lage hue the umeedon ko meri par phir bhi
tumhaari yaad se waabasta hai hayaat meri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi
tum apne gird faseelen bana ke baithe ho
hua to hoga meri yaad ka guzar phir bhi
charaagh aankhon ke veeraan hote jaate hain
tumhaari raah se uthati nahin nazar phir bhi
tamaam roop liye chaandni chali aayi
hamaara dil raha tareek ek ghar phir bhi
na raushni hai koi aur na raaste ma'aloom
chale hain aaj tire saath be-khatr phir bhi
tamaam umr diya main ne apna khoon-e-jigar
mila na mujh ko koi saaya-e-shajar phir bhi
bahut thi chaah dil-e-na-tawan ruk jaaye
taveel hota gaya umr ka safar phir bhi
न की जफ़ाओं में उस ने कोई कसर फिर भी
लगे हुए थे उमीदों को मेरी पर फिर भी
तुम्हारी याद से वाबस्ता है हयात मिरी
किसी का यूँ तो हुआ कौन उम्र भर फिर भी
तुम अपने गिर्द फ़सीलें बना के बैठे हो
हुआ तो होगा मिरी याद का गुज़र फिर भी
चराग़ आँखों के वीरान होते जाते हैं
तुम्हारी राह से उठती नहीं नज़र फिर भी
तमाम रूप लिए चाँदनी चली आई
हमारा दिल रहा तारीक एक घर फिर भी
न रौशनी है कोई और न रास्ते मा'लूम
चले हैं आज तिरे साथ बे-ख़तर फिर भी
तमाम उम्र दिया मैं ने अपना ख़ून-ए-जिगर
मिला न मुझ को कोई साया-ए-शजर फिर भी
बहुत थी चाह दिल-ए-ना-तवाँ रुक जाए
तवील होता गया उम्र का सफ़र फिर भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
our suggestion based on Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
As you were reading Life Shayari Shayari