kaise har dard ko seene mein chhupaaye rakhen
aur honton pe tabassum ko sajaaye rakhen
jo the apne vo zamaana hua sab chhod gaye
kab talak bazm ko ghairoon se sajaaye rakhen
ye suna hai ki wahan der hai andher nahin
to chalo bahr-e-duaa haath uthaaye rakhen
jab ye chhat jaayenge baadal to kiran phootegi
sham'a ummeed ki ik ham bhi jalaae rakhen
yun to bhule se bhi ab yaa na koi aayega
ehtiyaatan hi magar ghar ko sajaaye rakhen
dil mein soi hui chingaari ne karvat li hai
ab to is aag se daaman ko bachaaye rakhen
hoga nikhat se mo'attar ye chaman bhi ik roz
bas tiri yaad ke paudon ko lagaaye rakhen
कैसे हर दर्द को सीने में छुपाए रक्खें
और होंटों पे तबस्सुम को सजाए रक्खें
जो थे अपने वो ज़माना हुआ सब छोड़ गए
कब तलक बज़्म को ग़ैरों से सजाए रक्खें
ये सुना है कि वहाँ देर है अंधेर नहीं
तो चलो बहर-ए-दुआ हाथ उठाए रक्खें
जब ये छट जाएँगे बादल तो किरन फूटेगी
शम्अ' उम्मीद की इक हम भी जलाए रक्खें
यूँ तो भूले से भी अब याँ न कोई आएगा
एहतियातन ही मगर घर को सजाए रक्खें
दिल में सोई हुई चिंगारी ने करवट ली है
अब तो इस आग से दामन को बचाए रक्खें
होगा 'निकहत' से मोअ'त्तर ये चमन भी इक रोज़
बस तिरी याद के पौदों को लगाए रक्खें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
our suggestion based on Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
As you were reading Khushi Shayari Shayari