behaal dil ka haal karoon to ghazal kahoon | बेहाल दिल का हाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

  - Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

behaal dil ka haal karoon to ghazal kahoon
jeene ka phir malaal karoon to ghazal kahoon

dil to misaal-e-sang hai tootega kya bhala
khasta-jigar ka haal karoon to ghazal kahoon

ye rang chaar roza hai raanaai chaar roz
jo husn la-zawaal karoon to ghazal kahoon

hai lutf is miyaana-ravi mein bhala kahaan
kuchh amr ba-kamaal karoon to ghazal kahoon

mausam na sard garm na toofaan ka zor hai
ab khud hi kuchh vabaal karoon to ghazal kahoon

muddat hui habeeb se shikwa kiye hue
ab us se kuchh sawaal karoon to ghazal kahoon

hain is jahaan mein achhe sukhanvar hazaar-ha
nikhat ko be-misaal karoon to ghazal kahoon

बेहाल दिल का हाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ
जीने का फिर मलाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

दिल तो मिसाल-ए-संग है टूटेगा क्या भला
ख़स्ता-जिगर का हाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

ये रंग चार रोज़ा है रानाई चार रोज़
जो हुस्न ला-ज़वाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

है लुत्फ़ इस मियाना-रवी में भला कहाँ
कुछ अम्र बा-कमाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

मौसम न सर्द गर्म न तूफ़ाँ का ज़ोर है
अब ख़ुद ही कुछ वबाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

मुद्दत हुई हबीब से शिकवा किए हुए
अब उस से कुछ सवाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

हैं इस जहाँ में अच्छे सुख़नवर हज़ार-हा
'निकहत' को बे-मिसाल करूँ तो ग़ज़ल कहूँ

  - Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

As you were reading Shayari by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Similar Writers

our suggestion based on Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari