apni hasti mein simatti ja rahi hoon
saari duniya se main kattee ja rahi hoon
ret par likkhe hue ik naam jaisi
main hawa ke saath mitati ja rahi hoon
dekh kar fauj-e-raqeebaan gaamzan mein
raaste se khud hi hatti ja rahi hoon
zeest ka thi main mukammal ik fasana
kis liye qiston mein batti ja rahi hoon
अपनी हस्ती में सिमटती जा रही हूँ
सारी दुनिया से मैं कटती जा रही हूँ
रेत पर लिक्खे हुए इक नाम जैसी
मैं हवा के साथ मिटती जा रही हूँ
देख कर फ़ौज-ए-रक़ीबाँ गामज़न में
रास्ते से ख़ुद ही हटती जा रही हूँ
ज़ीस्त का थी मैं मुकम्मल इक फ़साना
किस लिए क़िस्तों में बटती जा रही हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
our suggestion based on Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
As you were reading Raasta Shayari Shayari