khwaab palkon pe meri aa ke machal jaate hain | ख़्वाब पलकों पे मिरी आ के मचल जाते हैं

  - Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

khwaab palkon pe meri aa ke machal jaate hain
ya kabhi ban ke guhar aankh se dhal jaate hain

mujh ko gosha koi maanoos sa jo lagta hai
log deewaar pe tasveer badal jaate hain

kal vo aalam tha ki ik jaan thi do qaaleb the
aaj ye hai ki vo katara ke nikal jaate hain

ham ko toofaan-e-haawadis ka koi khauf nahin
ye jo aate hain to kuchh ham bhi bahl jaate hain

apne aangan mein vo suraj ke tamannaai hain
jo diya dekh ke hamsaaye ka jal jaate hain

main sukhanvar bhi nahin fan ka saleeqa bhi nahin
zakham hain dil ke jo naghmaat mein dhal jaate hain

ख़्वाब पलकों पे मिरी आ के मचल जाते हैं
या कभी बन के गुहर आँख से ढल जाते हैं

मुझ को गोशा कोई मानूस सा जो लगता है
लोग दीवार पे तस्वीर बदल जाते हैं

कल वो आलम था कि इक जान थी दो क़ालिब थे
आज ये है कि वो कतरा के निकल जाते हैं

हम को तूफ़ान-ए-हवादिस का कोई ख़ौफ़ नहीं
ये जो आते हैं तो कुछ हम भी बहल जाते हैं

अपने आँगन में वो सूरज के तमन्नाई हैं
जो दिया देख के हमसाए का जल जाते हैं

मैं सुख़नवर भी नहीं फ़न का सलीक़ा भी नहीं
ज़ख़्म हैं दिल के जो नग़्मात में ढल जाते हैं

  - Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

As you were reading Shayari by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Similar Writers

our suggestion based on Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari