zindagi mein zabt paida kar diya | ज़िंदगी में ज़ब्त पैदा कर दिया

  - Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

zindagi mein zabt paida kar diya
us ke gham ne dekhiye kya kar diya

aql-o-dil ne go chhupaaya raaz ko
aansuon ne phir bhi rusva kar diya

us ki aahat thi ya mera vaham tha
dil mein jis ne hashr barpa kar diya

jab chali thi saath mein ik aas thi
raaste ne mujh ko tanhaa kar diya

kis ki nazrein phir maseeha ban gaeein
kis ne mere dil ko zinda kar diya

ek madhham si kiran ne yak-b-yak
khwaab ko mere sunhara kar diya

aas ka marham diya yun aap ne
zakhm-e-dil kuchh aur gahra kar diya

rah gai thi aazmaish kya koi
jaan ne kyun jaane mein waqfa kar diya

door nikhat gulsitaan se ho gai
is hawa ne khel kaisa kar diya

ज़िंदगी में ज़ब्त पैदा कर दिया
उस के ग़म ने देखिए क्या कर दिया

अक़्ल-ओ-दिल ने गो छुपाया राज़ को
आंसुओं ने फिर भी रुस्वा कर दिया

उस की आहट थी या मेरा वहम था
दिल में जिस ने हश्र बरपा कर दिया

जब चली थी साथ में इक आस थी
रास्ते ने मुझ को तन्हा कर दिया

किस की नज़रें फिर मसीहा बन गईं
किस ने मेरे दिल को ज़िंदा कर दिया

एक मद्धम सी किरन ने यक-ब-यक
ख़्वाब को मेरे सुनहरा कर दिया

आस का मरहम दिया यूँ आप ने
ज़ख़्म-ए-दिल कुछ और गहरा कर दिया

रह गई थी आज़माइश क्या कोई
जाँ ने क्यों जाने में वक़्फ़ा कर दिया

दूर 'निकहत' गुल्सिताँ से हो गई
इस हवा ने खेल कैसा कर दिया

  - Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

As you were reading Shayari by Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Similar Writers

our suggestion based on Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari