bahut shaadaab tha raftaar-e-jaan se | बहुत शादाब था रफ़्तार-ए-जाँ से

  - Yawar Diwana

bahut shaadaab tha raftaar-e-jaan se
musaafir thak gaya hai kaarwaan se

dil-e-khush-kaam teri khush-mizaaji
badhaai ja rahi lutf-e-ziyaan se

khalaon ke samundar mein gire hain
sadaaein laut kar aayein kahaan se

main apne saath jis ko dho raha hoon
bichhadta ja raha ahl-e-jahaan se

zameen ki dhun mein utara aasmaan se
sitaara mit gaya khud dastaan se

बहुत शादाब था रफ़्तार-ए-जाँ से
मुसाफ़िर थक गया है कारवाँ से

दिल-ए-ख़ुश-काम तेरी ख़ुश-मिज़ाजी
बढ़ाई जा रही लुत्फ़-ए-ज़ियाँ से

ख़लाओं के समुंदर में गिरे हैं
सदाएँ लौट कर आएँ कहाँ से

मैं अपने साथ जिस को ढो रहा हूँ
बिछड़ता जा रहा अहल-ए-जहाँ से

ज़मीं की धुन में उतरा आसमाँ से
सितारा मिट गया ख़ुद दास्ताँ से

  - Yawar Diwana

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yawar Diwana

As you were reading Shayari by Yawar Diwana

Similar Writers

our suggestion based on Yawar Diwana

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari