thakna bhi laazmi tha kuchh kaam karte karte | थकना भी लाज़मी था कुछ काम करते करते

  - Zafar Iqbal

thakna bhi laazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya hoon aaraam karte karte

andar sab aa gaya hai baahar ka bhi andhera
khud raat ho gaya hoon main shaam karte karte

ye umr thi hi aisi jaisi guzaar di hai
badnaam hote hote badnaam karte karte

fansata nahin parinda hai bhi isee fazaa mein
tang aa gaya hoon dil ko yun daam karte karte

kuchh be-khabar nahin the jo jaante hain mujh ko
main kooch kar raha tha bisraam karte karte

sar se guzar gaya hai paani to zor karta
sab rok rukte rukte sab thaam karte karte

kis ke tawaaf mein the aur ye din aa gaye hain
kya khaak thi ki jis ko ehraam karte karte

jis mod se chale the pahunchen hain phir wahin par
ik raayegaan safar ko anjaam karte karte

aakhir zafar hua hoon manzar se khud hi ghaaeb
usloob-e-khaas apna main aam karte karte

थकना भी लाज़मी था कुछ काम करते करते
कुछ और थक गया हूँ आराम करते करते

अंदर सब आ गया है बाहर का भी अंधेरा
ख़ुद रात हो गया हूँ मैं शाम करते करते

ये उम्र थी ही ऐसी जैसी गुज़ार दी है
बदनाम होते होते बदनाम करते करते

फँसता नहीं परिंदा है भी इसी फ़ज़ा में
तंग आ गया हूँ दिल को यूँ दाम करते करते

कुछ बे-ख़बर नहीं थे जो जानते हैं मुझ को
मैं कूच कर रहा था बिसराम करते करते

सर से गुज़र गया है पानी तो ज़ोर करता
सब रोक रुकते रुकते सब थाम करते करते

किस के तवाफ़ में थे और ये दिन आ गए हैं
क्या ख़ाक थी कि जिस को एहराम करते करते

जिस मोड़ से चले थे पहुँचे हैं फिर वहीं पर
इक राएगाँ सफ़र को अंजाम करते करते

आख़िर 'ज़फ़र' हुआ हूँ मंज़र से ख़ुद ही ग़ाएब
उस्लूब-ए-ख़ास अपना मैं आम करते करते

  - Zafar Iqbal

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Iqbal

As you were reading Shayari by Zafar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari