ajab tha dast-e-bala ka manzar | अजब था दश्त-ए-बला का मंज़र

  - Zaheer Kashmiri

ajab tha dast-e-bala ka manzar
jahaan nayi nafratoin ke khanjar
puraani rasm-e-wafa ke dil mein utar gaye the
jahaan paraayon ki saazish-e-be-amaan ke bais
lahu ke rishte bhi dushman-e-jaan bane hue the
jahaan zameen par khareef-e-aatish ugi hui thi
jahaan fazaa mein tuyoor-e-aahan ubhar rahe the

tumhaare azm-e-javaan ne akshar
naye khayaalon ka noor baksha tha aagahi ko
koi bhi taarikh paa-b-jaulaan na kar saki thi
tumhaari azaad-o-aasmaan-geer zindagi ko
shikast hargiz na de saki thi
tumhaare jazbon tumhaare pindaar-e-bandagi ko

magar ye kya inqilaab aaya
ki bijliyon ko bhi tauq mein ham aseer dekhen
talaatumon ke jigar mein paivast teer dekhen
sehar ho ya shaam har ufuq par
tumhaare khun ki lakeer dekhen
mujhe gumaan hai ki is shikast-e-zuboon ke peeche
hamaara apna bhi haath hoga
ye shaam-e-zindaan ye chup fazaa ye udaas mausam
har ek shay mein khamosh toofaan chhupa hua hai
tumhaare zehnon ki tooti-footi si baarakon mein
hazaar-ha khwahishon ka mela laga hua hai
abhi hamaara zameen se rishta rahega qaaim
payaam ik din sunenge tajdeed-e-zindagi ka
naye sahaare khuloos ki baarishen karenge
chaman khilenge tilism tootega bebaasi ka
hamaari maayein hamaari bahnen hamaare bacche
lipt ke ham se
karenge izhaar ahd-e-rafta ki bekli ka
mitega dard-e-firaq ujadi suhaagno ka
har ek aangan mein daur aayega sarkhushi ka

mere watan ke ghayoor beto
tumhaari taqdeer-e-be-gunahi pe dam-b-khud hain tamaam qaumen
zameer-e-insaan tumhaare gham se kisi tarah be-khabar nahin hai
yaqeen jaano tumhaare ayyaam-e-ibttila khatm ho chuke hain
yaqeen jaano jahaan-e-tazaa mein qahat-e-fikr-o-nazar nahin hai

tumhaari mi'aad-e-aazmaaish ka faisla mo'tabar nahin hai
tumhaara sayyaad be-basar hai ye daur to be-basar nahin hai

अजब था दश्त-ए-बला का मंज़र
जहाँ नई नफ़रतों के ख़ंजर
पुरानी रस्म-ए-वफ़ा के दिल में उतर गए थे
जहाँ परायों की साज़िश-ए+बे-अमाँ के बाइ'स
लहू के रिश्ते भी दुश्मन-ए-जाँ बने हुए थे
जहाँ ज़मीं पर ख़रीफ़-ए-आतिश उगी हुई थी
जहाँ फ़ज़ा में तुयूर-ए-आहन उभर रहे थे

तुम्हारे अज़्म-ए-जवाँ ने अक्सर
नए ख़यालों का नूर बख़्शा था आगही को
कोई भी तारीख़ पा-ब-जौलाँ न कर सकी थी
तुम्हारी आज़ाद-ओ-आसमाँ-गीर ज़िंदगी को
शिकस्त हरगिज़ न दे सकी थी
तुम्हारे जज़्बों तुम्हारे पिंदार-ए-बंदगी को

मगर ये क्या इंक़लाब आया
कि बिजलियों को भी तौक़ में हम असीर देखें
तलातुमों के जिगर में पैवस्त तीर देखें
सहर हो या शाम हर उफ़ुक़ पर
तुम्हारे ख़ूँ की लकीर देखें
मुझे गुमाँ है कि इस शिकस्त-ए-ज़ुबूँ के पीछे
हमारा अपना भी हाथ होगा
ये शाम-ए-ज़िंदाँ ये चुप फ़ज़ा ये उदास मौसम
हर एक शय में ख़मोश तूफ़ाँ छुपा हुआ है
तुम्हारे ज़ेहनों की टूटी-फूटी सी बैरकों में
हज़ार-हा ख़्वाहिशों का मेला लगा हुआ है
अभी हमारा ज़मीं से रिश्ता रहेगा क़ाएम
पयाम इक दिन सुनेंगे तज्दीद-ए-ज़िंदगी का
नए सहारे ख़ुलूस की बारिशें करेंगे
चमन खिलेंगे तिलिस्म टूटेगा बेबसी का
हमारी माएँ हमारी बहनें हमारे बच्चे
लिपट के हम से
करेंगे इज़हार अहद-ए-रफ़्ता की बेकली का
मिटेगा दर्द-ए-फ़िराक़ उजड़ी सुहागनों का
हर एक आँगन में दौर आएगा सरख़ुशी का

मेरे वतन के ग़यूर बेटो
तुम्हारी तक़दीर-ए-बे-गुनाही पे दम-ब-ख़ुद हैं तमाम क़ौमें
ज़मीर-ए-इंसाँ तुम्हारे ग़म से किसी तरह बे-ख़बर नहीं है
यक़ीन जानो तुम्हारे अय्याम-ए-इब्तिला ख़त्म हो चुके हैं
यक़ीन जानो जहान-ए-ताज़ा में क़हत-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र नहीं है

तुम्हारी मीआ'द-ए-आज़माइश का फ़ैसला मो'तबर नहीं है
तुम्हारा सय्याद बे-बसर है ये दौर तो बे-बसर नहीं है

  - Zaheer Kashmiri

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari