na lazzaton ka bahar tha na khwahishon ki vaadiyaan | न लज़्ज़तों का बहर था न ख़्वाहिशों की वादियाँ

  - Zaheer Siddiqui

na lazzaton ka bahar tha na khwahishon ki vaadiyaan
na daayere azaab ke na zaaviye savaab ke
bas ek raushni aseer-e-zaat thi
muheet kaayenaat thi azal se be-libaas thi
to yun hua ki dafa'atan
mere badan ke pairhan mein chhup gai
to lazzaton ka bahar mauj-zan hua
to khwahishon ki vaadiyaan sulag gaeein
to daayere azaab ke fisal gaye
to zaaviye savaab ke machal gaye
ajeeb waqia nahin
mere badan ka pairhan to lazzaton ke taar mein buna gaya
vo khwahishon ke bahar mein jo mauj mauj bah gaya
to kya hua
ye raaz raaz rah gaya
vo raushni jo qabl-e-irtikaab hi
mere badan ke pairhan mein jaaguzee thi
sad-irtikaab kyun hui nahin

न लज़्ज़तों का बहर था न ख़्वाहिशों की वादियाँ
न दाएरे अज़ाब के न ज़ाविए सवाब के
बस एक रौशनी असीर-ए-ज़ात थी
मुहीत काएनात थी अज़ल से बे-लिबास थी
तो यूँ हुआ कि दफ़अ'तन
मिरे बदन के पैरहन में छुप गई
तो लज़्ज़तों का बहर मौज-ज़न हुआ
तो ख़्वाहिशों की वादियाँ सुलग गईं
तो दाएरे अज़ाब के फिसल गए
तो ज़ाविए सवाब के मचल गए
अजीब वाक़िआ' नहीं
मिरे बदन का पैरहन तो लज़्ज़तों के तार में बुना गया
वो ख़्वाहिशों के बहर में जो मौज मौज बह गया
तो क्या हुआ
ये राज़ राज़ रह गया
वो रौशनी जो क़ब्ल-ए-इर्तिकाब ही
मिरे बदन के पैरहन में जागुज़ीँ थी
सद-इर्तिकाब क्यूँ हुई नहीं

  - Zaheer Siddiqui

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari