vo ik shay | वो इक शय

  - Zaheer Siddiqui

vo ik shay
ki jis ke liye paak teent buzurgon ne
apne badan zehan ke saare jauhar ganwaaye
lahu ke guhar
khaar-zaaron ki pahnaaiyon mein lutaaye
vo ik shay
jise un jiyaale buzurgon ne jeb-o-garebaan
dil-o-jaan se bhi badh ke samjha
jo haasil hui to
abhi baam-o-dar se siyah-raat lipti hui thi
safar ki thakan ya
giraa-baari umr ne
un ke aa'saab ko muzmahil kar diya tha
unhon ne ye socha
khuda jaane suraj nikalne talak kya se kya ho
haseen be-baha shay ke haqdaar
un ke jawaan-saal bacche hain
us ki hifazat wahi kar sakenge
jawaan-saal bacche
abhi bistar-e-istiraahat pe soye hue the
jagaae gaye
subh-e-kaazib ki dhundlaahaton mein
chamakti hui vo haseen shay
viraasat mein un ko mili thi
magar sab ne dekha tha suraj nikalne pe
un sust-o-chaalaak bacchon
ke haathon mein mahfooz-o-qeemati shay
b-tadreej apni chamak kho rahi thi
tilism-e-tasavvur nahin ye haqeeqat hai
vo be-baha shay
ki jis ke liye
har saubat gawara hai
manzil nahin
justuju hai
vo ik cheez jis par nichhawar
jiyaalon ka raushan lahu hai
faqat rang-o-boo hi nahin
gulistaan ki humkati hui aarzoo hai

har ik nafa jaayez nuksaan ke batn se hai
unhon ne jo haasil kiya vo ziyaada tha
aur aakhir shab ke kuchh khwaab ko jo ganwaaya
vo kam tha
isee na-tanaasub husool-o-khasaara ka radd-e-amal hai
ki manzil ki aaghosh mein bhi
unhen sukh nahin hai

वो इक शय
कि जिस के लिए पाक तीनत बुज़ुर्गों ने
अपने बदन ज़ेहन के सारे जौहर गँवाए
लहू के गुहर
ख़ार-ज़ारों की पहनाइयों में लुटाए
वो इक शय
जिसे उन जियाले बुज़ुर्गों ने जेब-ओ-गरेबाँ
दिल-ओ-जाँ से भी बढ़ के समझा
जो हासिल हुई तो
अभी बाम-ओ-दर से सियह-रात लिपटी हुई थी
सफ़र की थकन या
गिराँ-बारी उम्र ने
उन के आ'साब को मुज़्महिल कर दिया था
उन्हों ने ये सोचा
ख़ुदा जाने सूरज निकलने तलक क्या से क्या हो
हसीं बे-बहा शय के हक़दार
उन के जवाँ-साल बच्चे हैं
उस की हिफ़ाज़त वही कर सकेंगे
जवाँ-साल बच्चे
अभी बिस्तर-ए-इस्तिराहत पे सोए हुए थे
जगाए गए
सुब्ह-ए-काज़िब की धुंदलाहटों में
चमकती हुई वो हसीं शय
विरासत में उन को मिली थी
मगर सब ने देखा था सूरज निकलने पे
उन सुस्त-ओ-चालाक बच्चों
के हाथों में महफ़ूज़-ओ-क़ीमती शय
ब-तदरीज अपनी चमक खो रही थी
तिलिस्म-ए-तसव्वुर नहीं ये हक़ीक़त है
वो बे-बहा शय
कि जिस के लिए
हर सऊबत गवारा है
मंज़िल नहीं
जुस्तुजू है
वो इक चीज़ जिस पर निछावर
जियालों का रौशन लहू है
फ़क़त रंग-ओ-बू ही नहीं
गुलिस्ताँ की हुमकती हुई आरज़ू है

हर इक नफ़अ' जाएज़ नुक़सान के बत्न से है
उन्हों ने जो हासिल किया वो ज़ियादा था
और आख़िर शब के कुछ ख़्वाब को जो गँवाया
वो कम था
इसी ना-तनासुब हुसूल-ओ-ख़सारा का रद्द-ए-अमल है
कि मंज़िल की आग़ोश में भी
उन्हें सुख नहीं है

  - Zaheer Siddiqui

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Zaheer Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari