aaj mera aashiyaan bazaar ho jaaye to | आज मेरा आशियाँ बाज़ार हो जाए तो - Achyutam Yadav 'Abtar'

aaj mera aashiyaan bazaar ho jaaye to
ik asaasa rakhna bhi dushwaar ho jaaye to

nek-neeyat rakhna achhi baat hai haan lekin
gar yahi khud ke liye talwaar ho jaaye to

aaj to mumkin hai saansen lena lekin kal gar
sar-firi si ye hawa deewaar ho jaaye to

bolna mera tazallum lagta hai tumko par
sochta hoon tumko mujhse pyaar ho jaaye to

dekh kar mahzoom chappu khush hai toofan lekin
dariya ki ye mauj hi patwaar ho jaaye to

ik tavqo rakhta hai jiski tu arson tak vo
tera hamdam banne ko taiyyaar ho jaaye to

achyutam kyun karte ho itna yaqeen uska tum
vo sadaqat waala bhi akhbaar ho jaaye to

आज मेरा आशियाँ बाज़ार हो जाए तो
इक असासा रखना भी दुश्वार हो जाए तो

नेक-नीयत रखना अच्छी बात है हाँ लेकिन
गर यही ख़ुद के लिए तलवार हो जाए तो

आज तो मुमकिन है साँसें लेना लेकिन कल गर
सर-फिरी सी ये हवा दीवार हो जाए तो

बोलना मेरा तज़ल्लुम लगता है तुमको पर
सोचता हूँ तुमको मुझसे प्यार हो जाए तो

देख कर महज़ूम चप्पू ख़ुश है तूफाँ लेकिन
दरिया की ये मौज ही पतवार हो जाए तो

इक तवक़्क़ो रखता है जिसकी तू अर्सों तक वो
तेरा हमदम बनने को तय्यार हो जाए तो

'अच्युतम' क्यों करते हो इतना यक़ीं उसका तुम
वो सदाक़त वाला भी अख़बार हो जाए तो

- Achyutam Yadav 'Abtar'
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari