har koi itna mukammal kyun hai
mujh mein is baat se halchal kyun hai
apni darwaaze si palkein kholo
us dariche pe vo kaajal kyun hai
ab nahin rota hoon raaton mein to
khaat ke paas ye daldal kyun hai
yaar main akl ka maara hoon na
bolo phir dil mera paagal kyun hai
maa ne roti ko diya hai tarjeeh
poocho mat haathon mein paayal kyun hai
aag ik jeb mein rakhe ho phir
doosri jeb mein baadal kyun hai
हर कोई इतना मुकम्मल क्यों है
मुझ में इस बात से हलचल क्यों है
अपनी दरवाज़े सी पलकें खोलो
उस दरीचे पे वो काजल क्यों है
अब नहीं रोता हूँ रातों में तो
खाट के पास ये दलदल क्यों है
यार मैं अक्ल का मारा हूँ ना
बोलो फिर दिल मिरा पागल क्यों है
माँ ने रोटी को दिया है तरजीह
पूछो मत हाथों में पायल क्यों है
आग इक जेब में रक्खे हो फिर
दूसरी जेब में बादल क्यों है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Aashiq Shayari Shayari