apni basti ka aftaab tha main
kaanton ke bin khila gulaab tha main
chehre the to bahut mere oopar
par sabhi chehron ka naqaab tha main
sehra jaisa sawaal poocha gaya
toofaan jaisa koi jawaab tha main
ja ke shabnam ke qatron se poocho
darya-darya ka ek khwaab tha main
kandhe pe jiske aag haath rakhe
theek waisa hi ek aab tha main
zyaada taarif ho rahi hai meri
maut se pehle to kharaab tha main
अपनी बस्ती का आफ़ताब था मैं
काँटों के बिन खिला गुलाब था मैं
चेहरे थे तो बहुत मिरे ऊपर
पर सभी चेहरों का नक़ाब था मैं
सहरा जैसा सवाल पूछा गया
तूफ़ाॅं जैसा कोई जवाब था मैं
जा के शबनम के क़तरों से पूछो
दरिया-दरिया का एक ख़्वाब था मैं
कंधे पे जिसके आग हाथ रखे
ठीक वैसा ही एक आब था मैं
ज़्यादा तारीफ़ हो रही है मिरी
मौत से पहले तो ख़राब था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Death Shayari Shayari