saaqi bola ye tishnagi ke baad | साक़ी बोला ये तिश्नगी के बाद - Achyutam Yadav 'Abtar'

saaqi bola ye tishnagi ke baad
jaam peeoon khudkushi ke baad

hogi barsaat bedili ke baad
honge laachaar ham isee ke baad

ishq ki saf mein dhoondhte hain mujhe
main nahin aata hoon kisi ke baad

zindagi to durust kar li hai
maut ne poocha zindagi ke baad

bhookhi rahne lagi hai beti bhi
jaise maa khaati hai sabhi ke baad

os ke qatre ho gaye hain mareez
dekhkar gul si us pari ke baad

chhoti si zindagi rahi hai abhi
gul banuunga main bhi kali ke baad

ashkon se tar theen shams ki aankhen
raushni aayi teergi ke baad

waqt dar waqt sochta hi raha
kya karunga main shaayri ke baad

साक़ी बोला ये तिश्नगी के बाद
जाम पीऊँगा ख़ुदकुशी के बाद

होगी बरसात बेदिली के बाद
होंगे लाचार हम इसी के बाद

इश्क़ की सफ़ में ढूँढ़ते हैं मुझे
मैं नहीं आता हूँ किसी के बाद

ज़िन्दगी तो दुरुस्त कर ली है
मौत ने पूछा ज़िन्दगी के बाद?

भूखी रहने लगी है बेटी भी
जैसे माँ खाती है सभी के बाद

ओस के क़तरे हो गए हैं मरीज़
देखकर गुल सी उस परी के बाद

छोटी सी ज़िन्दगी रही है अभी
गुल बनूँगा मैं भी कली के बाद

अश्कों से तर थीं शम्स की आँखें
रौशनी आई तीरगी के बाद

वक़्त दर वक़्त सोचता ही रहा
क्या करूँगा मैं शाइरी के बाद

- Achyutam Yadav 'Abtar'
0 Likes

Bimari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Achyutam Yadav 'Abtar'

As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Writers

our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'

Similar Moods

As you were reading Bimari Shayari Shayari