jo chaandni raaton mein sataaye vo khwaab ho tum
jo banke shabnam gire gulon se vo aab ho tum
uljhta rehta tha jismein suljhaa na paaya jisko
mere har ik aansu ka ik aisa hisaab ho tum
jahaan hifaazat ke saath muskaan karta hoon dafn
unhin labon ke mazaar ka ik gulaab ho tum
tumhaare bin meri koi tabaani hi nahin hai
main chaand hoon aur mere hi aaftaab ho tum
jise na to shams choo saka aur na hi sitaare
vo chaand ke gaal jaisi koi kitaab ho tum
hai ranj mujhko ki tishnagi ho na paaye tum gaah
utaar de sabka jo nasha vo sharaab ho tum
जो चाँदनी रातों में सताए वो ख़्वाब हो तुम
जो बनके शबनम गिरे गुलों से वो आब हो तुम
उलझता रहता था जिसमें सुलझा न पाया जिसको
मिरे हर इक आँसू का इक ऐसा हिसाब हो तुम
जहाँ हिफ़ाज़त के साथ मुस्कान करता हूँ दफ़्न
उन्हीं लबों के मज़ार का इक गुलाब हो तुम
तुम्हारे बिन मेरी कोई ताबानी ही नहीं है
मैं चाँद हूँ और मेरे ही आफ़ताब हो तुम
जिसे न तो शम्स छू सका और न ही सितारे
वो चाँद के गाल जैसी कोई किताब हो तुम
है रंज मुझको कि तिश्नगी हो न पाए तुम गाह
उतार दे सबका जो नशा वो शराब हो तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Kitaaben Shayari Shayari