apne gulshan se kabhi bhi gar gila ho jaaye dost
kya pata kab kaun sa panchi rihaa ho jaaye dost
sirf tumko hi nahin ghar chhod ke aana hai aaj
jo bache hain unko bhi thoda nasha ho jaaye dost
tum hi ho khaatir-nasheen to kuchh samay rahna wahin
dil qafas to hai nahin jo yaa saza ho jaaye dost
ye tumhaari neki meri aan se badhke nahin
qarz utna hi mujhe do jo ada ho jaaye dost
kam se kam taqseer aur chehra khyaalon mein rahe
chahe to phir tu kisi bhi aur ka ho jaaye dost
अपने गुलशन से कभी भी गर गिला हो जाए दोस्त
क्या पता कब कौन सा पंछी रिहा हो जाए दोस्त
सिर्फ़ तुमको ही नहीं घर छोड़ के आना है आज
जो बचे हैं उनको भी थोड़ा नशा हो जाए दोस्त
तुम ही हो ख़ातिर-नशीं तो कुछ समय रहना वहीं
दिल क़फ़स तो है नहीं जो याँ सज़ा हो जाए दोस्त
ये तुम्हारी नेकी मेरी आन से बढ़के नहीं
क़र्ज़ उतना ही मुझे दो जो अदा हो जाए दोस्त
कम से कम तक़्सीर और चेहरा ख़यालों में रहे
चाहे तो फिर तू किसी भी और का हो जाए दोस्त
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Achyutam Yadav 'Abtar'
our suggestion based on Achyutam Yadav 'Abtar'
As you were reading Sazaa Shayari Shayari