baad uske koii jacha hi nahin
ishq jaisi koii bala hi nahin
usne jab baat kii samajh aaya
khaamoshi se badi saza hi nahin
poori bottle utaar di gale se
mujh ko phir bhi nasha hua hi nahin
us ne yun chheel ke utaari hina
rang phir koii bhi racha hi nahin
in larzate labon se kyun tune
surkh aankhon ko phir chhua hi nahin
eid bhi aa gai mere maula
mera ghar ab talak saja hi nahin
us ko lautaa sake jo baanhon mein
aisa to koii mo'jiza hi nahin
jo diya sach kii aag se raushan
vo to dariya se bhi bujha hi nahin
aaj bhookhe hi so gaye bacche
aaj qaasa mera bhara hi nahin
aag aisi amaan dekhi hai
paas ho kar bhi main jala hi nahin
बाद उसके कोई जचा ही नहीं
इश्क़ जैसी कोई बला ही नहीं
उसने जब बात की समझ आया
ख़ामुशी से बड़ी सज़ा ही नहीं
पूरी बोतल उतार दी गले से
मुझ को फिर भी नशा हुआ ही नहीं
उस ने यूँ छील के उतारी हिना
रंग फिर कोई भी रचा ही नहीं
इन लरज़ते लबों से क्यूँ तूने
सुर्ख़ आँखों को फिर छुआ ही नहीं
ईद भी आ गई मिरे मौला
मेरा घर अब तलक सजा ही नहीं
उस को लौटा सके जो बाँहों में
ऐसा तो कोई मोजिज़ा ही नहीं
जो दिया सच की आग से रौशन
वो तो दरिया से भी बुझा ही नहीं
आज भूखे ही सो गए बच्चे
आज कासा मिरा भरा ही नहीं
आग ऐसी अमान देखी है
पास हो कर भी मैं जला ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading Justice Shayari Shayari