yahi inki haqeeqat hai yahi inki nishaani hai
badal jaana zubaan se husn ki aadat puraani hai
hamaara dard tumse kyun bada hai jaante ho tum
tumhein aadat bhulaani hai hame ulfat bhulaani hai
bulaana yaad se usko miyaan mere janaaze par
use aansu bahaane hain mujhe soorat dikhaani hai
badalta waqt jab dekhoon tumhaari yaad aati hai
sitam dekho ghadi bhi ye tumhaari hi nishaani hai
lagati hai labon se roz titli ek hi gul ko
bataati hai wafa uski yaqeenan khaandaani hai
यही इनकी हक़ीक़त है यही इनकी निशानी है
बदल जाना ज़ुबाँ से हुस्न की आदत पुरानी है
हमारा दर्द तुमसे क्यूँ बड़ा है जानते हो तुम
तुम्हें आदत भुलानी है हमे उल्फ़त भुलानी है
बुलाना याद से उसको मियाँ मेरे जनाज़े पर
उसे आँसू बहाने हैं मुझे सूरत दिखानी है
बदलता वक़्त जब देखूँ तुम्हारी याद आती है
सितम देखो घड़ी भी ये तुम्हारी ही निशानी है
लगाती है लबों से रोज़ तितली एक ही गुल को
बताती है वफ़ा उसकी यक़ीनन ख़ानदानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anas Khan
our suggestion based on Anas Khan
As you were reading Titliyan Shayari Shayari