sach kahoon ab khushi nahin hoti
phir bhi kyun teergi nahin hoti
baat sun lo bahut udaasi hai
mujhse ab shayari nahin hoti
tum gaye chhodkar mujhe jab se
ghar mein ab raushni nahin hoti
maut aakar chali gai phir se
saans kya aakhiri nahin hoti
ishq maine chhupa liya sab se
ishq ab zaahiri nahin hoti
hont ko choom kar kaha tha ye
aisi to chaashni nahin hoti
सच कहूँ अब ख़ुशी नहीं होती
फिर भी क्यों तीरगी नहीं होती
बात सुन लो बहुत उदासी है
मुझसे अब शायरी नहीं होती
तुम गए छोड़कर मुझे जब से
घर में अब रौशनी नहीं होती
मौत आकर चली गई फिर से
साँस क्या आख़िरी नहीं होती
इश्क़ मैंने छुपा लिया सब से
इश्क़ अब ज़ाहिरी नहीं होती
होंठ को चूम कर कहा था ये
ऐसी तो चाशनी नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Arohi Tripathi
our suggestion based on Arohi Tripathi
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari