dayaar-e-ishq mein kis taur is may se nasha hoga | दयार-ए-इश्क़ में किस तौर इस मय से नशा होगा

  - Ayush Aavart

dayaar-e-ishq mein kis taur is may se nasha hoga
vo bhi aakhir use hi dekhkar bekud hua hoga

wahan tum bhejne se qabl bas itna bata dena
wahan kab kaun jaata hai ye kis kis ko pata hoga

main sabse poochta aaya hoon sadiyon se sawaal ik dost
kise maaloom hai kis soch se ye dil bana hoga

tu to ye jaanta hai nafs tak tham jaati hai meri
agar tu aise roothega yaqeenan phir bura hoga

samaa aur ham kaho kya aise hi tab muskuraayenge
bichadkar baad muddat jab hamaara saamna hoga

faqat main ik gulon ke pesh-o-pas mein rahne waala khaar
zamaane mein kahaan hain kaun jo mujh pe fida hoga

दयार-ए-इश्क़ में किस तौर इस मय से नशा होगा
वो भी आख़िर उसे ही देखकर बेख़ुद हुआ होगा

वहाँ तुम भेजने से क़ब्ल बस इतना बता देना
वहाँ कब कौन जाता है ये किस किस को पता होगा

मैं सबसे पूछता आया हूँ सदियों से सवाल इक दोस्त
किसे मालूम है किस सोच से ये दिल बना होगा

तु तो ये जानता है नफ़्स तक थम जाती है मेरी
अगर तू ऐसे रूठेगा यक़ीनन फिर बुरा होगा

समा और हम कहो क्या ऐसे ही तब मुस्कुराएँगे
बिछड़कर बाद मुद्दत जब हमारा सामना होगा

फ़क़त मैं इक गुलों के पेश-ओ-पस में रहने वाला खार
ज़माने में कहाँ हैं कौन जो मुझ पे फ़िदा होगा

  - Ayush Aavart

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ayush Aavart

As you were reading Shayari by Ayush Aavart

Similar Writers

our suggestion based on Ayush Aavart

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari