kise hai pata naap is zeene ka
mila hai sahaara kai keene ka
ijaazat nahin thi mujhe marne ki
mujhe shauq ab tha nahin jeene ka
use pyaar ki aag mein jalna tha
yahan barf sa bhaar hai seene ka
nazar mein kabhi thi mohabbat magar
abhi waqt hai ashk hi peene ka
kise dekh kar main sudhaara karoon
pighalne laga aks aaine ka
badlne lage waqt ke saath sab
bigadta raha haal takhmeene ka
किसे है पता नाप इस ज़ीने का
मिला है सहारा कई कीने का
इजाज़त नहीं थी मुझे मरने की
मुझे शौक़ अब था नहीं जीने का
उसे प्यार की आग में जलना था
यहाँ बर्फ़ सा भार है सीने का
नज़र में कभी थी मोहब्बत मगर
अभी वक्त है अश्क ही पीने का
किसे देख कर मैं सुधारा करूँ
पिघलने लगा अक्स आईने का
बदलने लगे वक़्त के साथ सब
बिगड़ता रहा हाल तख़मीने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chetan
our suggestion based on Chetan
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari