sabse milte hain bichhadne ke liye
kuchh to haasil ho khasaare ke liye
cheer kar mujhko padha sabne tujhe
yaani tu khat hai lifaafe ke liye
itna badla kyun ise gar jaana tha
mera ghar nain tha kiraye ke liye
apne pinjare ko khula rakhna ki ye
ghar zaroori tha parinde ke liye
tujhpe jaati hai nazar ab bhi vo hi
qaid main hoon jis taqaze ke liye
सबसे मिलते हैं बिछड़ने के लिए
कुछ तो हासिल हो ख़सारे के लिए
चीर कर मुझको पढ़ा सबने तुझे
यानी तू ख़त है लिफ़ाफ़े के लिए
इतना बदला क्यों इसे गर जाना था
मेरा घर नइँ था किराए के लिए
अपने पिंजरे को खुला रखना कि ये
घर ज़रूरी था परिंदे के लिए
तुझपे जाती है नज़र अब भी वो ही
क़ैद मैं हूँ जिस तक़ाज़े के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chetan
our suggestion based on Chetan
As you were reading Ghar Shayari Shayari