muskaan ye unki gazab hairaani hain | मुस्कान ये उनकी, गज़ब हैरानी हैं

  - Deep kamal panecha

muskaan ye unki gazab hairaani hain
bacchon si harkat karti bhi shaitani hain

ab jo liya hain ek safha ham ne phir
ik aur ghazal-e-deep us par aani hain

vo haste-haste taali dete hain hamein
ye kaisi-kaisi karte vo nadaani hain

behad muhabbat hain hamein us shakhs se
bas baat ye hi har ghazal mein aani hain

vo karti rahti tanz paiham ham pe hain
vo bhi hamaari lagta hain deewani hain

milne na aaye vo hamein ik baar phir
ye bhi muhabbat door ham se jaani hain

मुस्कान ये उनकी, गज़ब हैरानी हैं
बच्चों सी हरकत करती भी शैतानी हैं

अब जो लिया हैं एक सफ़्हा हम ने फिर
इक और "ग़ज़ल-ए-दीप" उस पर आनी हैं

वो हँसते-हँसते ताली देते हैं हमें
ये कैसी-कैसी करते वो नादानी हैं

बेहद मुहब्बत हैं हमें उस शख़्स से
बस बात ये ही हर ग़ज़ल में आनी हैं

वो करती रहती तंज़ पैहम हम पे हैं
वो भी हमारी लगता हैं दीवानी हैं

मिलने न आए वो हमें इक बार फिर
ये भी मुहब्बत दूर हम से जानी हैं

  - Deep kamal panecha

Satire Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Satire Shayari Shayari