ghazal teri furqat ka yun jaise hal ho
ye koi sukhnavar ki mehnat ka fal ho
maine har ghazal yun kahi hain ki jaise
meri zindagi ki aakhiri ye ghazal ho
nasha ik hi pur-zor rakho ghazal ka
ye aisa nasha hain ki jaise amal ho
jahaan waalon ye ant mera nahin hain
yun hain jyuun naye daur ki ye pehal ho
faqat may-kashi is liye karta hoon main
gham-e-yaar se mahav kuchh din saral ho
ग़ज़ल तेरी फुरक़त का यूँ जैसे हल हो
ये कोई सुख़नवर की मेहनत का फल हो
मैंने हर ग़ज़ल यूँ कही हैं कि जैसे
मिरी ज़ीस्त की आख़िरी ये ग़ज़ल हो
नशा इक ही पुर-ज़ोर रक्खो ग़ज़ल का
ये ऐसा नशा हैं की जैसे अमल हो
जहाँ वालों ये अंत मेरा नहीं हैं
यूँ हैं ज्यूँ नए दौर की ये पहल हो
फ़क़त मय-कशी इस लिए करता हूँ मैं
ग़म-ए-यार से महव कुछ दिन सरल हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Nasha Shayari Shayari