ye jo dil ki haalat udhar hain | ये जो दिल की हालत उधर हैं

  - Deep kamal panecha

ye jo dil ki haalat udhar hain
vo hi dil ki haalat idhar hain

main gham ki tamannaa karu jab
nahin ilm ye gham kidhar hain

sukoon dhundhte ho jahaan mein
tumhaara sukoon to idhar hain

ye bechain jo firta hoon main
ye baaton ka uski asar hain

mera dil ye marta hain jis pe
vo ladki faqat rahguzar hain

hain kya darmiyaan tere mere
tujhe iski bhi na khabar hain

kisi aur se ishq hain tumhein
tu is vaaste dar-b-dar hain

maine taash mein maat khaai
faqat wajh teri nazar hain

ये जो दिल की हालत उधर हैं
वो ही दिल की हालत इधर हैं

मैं ग़म की तमन्ना करू जब
नहीं इल्म ये ग़म किधर हैं

सुकूँ ढूँढते हो जहाँ में
तुम्हारा सुकूँ तो इधर हैं

ये बैचैन जो फिरता हूँ मैं
ये बातों का उसकी असर हैं

मिरा दिल ये मरता हैं जिस पे
वो लड़की फ़क़त रहगुज़र हैं

हैं क्या दरमियाँ तेरे मेरे
तुझे इसकी भी ना ख़बर हैं

किसी और से इश्क़ हैं तुम्हें
तू इस वास्ते दर-ब-दर हैं

मैंने ताश में मात खाई
फ़क़त वज्ह तेरी नज़र हैं

  - Deep kamal panecha

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari