sitam ik aur khaaye jee rahe hain | सितम इक और खाए जी रहे हैं - Deep kamal panecha

sitam ik aur khaaye jee rahe hain
hunar khud aazmaaye jee rahe hain

karo mat rashk mere jeene pe tum
tire shaair banaaye jee rahe hain

barhana zakhm hain tum ko khabar hain
adoo lazzat uthaaye jee rahe hain

tujhe hi na-pasand hain deed meri
mujhe dekhe paraaye jee rahe hain

firaq-e-yaar furqat hijr nafrat
ye sab hum sar uthaaye jee rahe hain

muhabbat ishq ulfat pyaar chaahat
akela hum nibhaaye jee rahe hain

tumhein hum yaad karte hain musalsal
musalsal jee dukhaaye jee rahe hain

qasam hain aapko mismar kar do
yun bhi to zakhm khaaye jee rahe hain

rahe haazir ujaala subh mein so
lahu apna jalaae jee rahe hain

सितम इक और खाए जी रहे हैं
हुनर ख़ुद आज़माए जी रहे हैं

करो मत रश्क मेरे जीने पे तुम
तिरे शाइर बनाए जी रहे हैं

बरहना ज़ख़्म हैं तुम को ख़बर हैं
अदू लज़्ज़त उठाए जी रहे हैं

तुझे ही ना-पसंद हैं दीद मेरी
मुझे देखे पराए जी रहे हैं

फ़िराक़े-यार फ़ुर्क़त हिज्र नफ़रत
ये सब हम सर उठाए जी रहे हैं

मुहब्बत इश्क़ उल्फ़त प्यार चाहत
अकेले हम निभाए जी रहे हैं

तुम्हें हम याद करते हैं मुसलसल
मुसलसल जी दुखाए जी रहे हैं

क़सम हैं आपको मिस्मार कर दो
यूँ भी तो ज़ख़्म खाए जी रहे हैं

रहे हाज़िर उजाला सुब्ह में सो
लहू अपना जलाए जी रहे हैं

- Deep kamal panecha
1 Like

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari