ishq mudda hai hamaari jaan ka | इश्क़ मुद्दा है हमारी जान का

  - Deep kamal panecha

ishq mudda hai hamaari jaan ka
khoon leta hai ye us insaan ka

vo na jaane de pakadta bhi nahin
kya karoon main us haseen shaitaan ka

saath de har haal mein tu mera phir
naap loonga kad main har toofaan ka

poochta tha main tumhein kya kya liya
jaane waale kehta to armaan ka

hai sunaai deti bas baatein tiri
ab bata main kya karoon is kaan ka

tere hone se hai chehre par hasi
warna sab kya dekhe is veeraan ka

dil lagaane ka hunar maine diya
kya gazab badla liya ehsaan ka

seene lagta tu kabhi shaayad mere
firta hoon tukde liye armaan ka

paas rakhna hai ye khwaahish hai meri
ek jhumka us pari ke kaan ka

ishq sab kuchh loot leta hai magar
main maza leta hoon is nuksaan ka

kya bacha hai mujh mein rukhsat se tiri
nocho chahe jism mujh bejaan ka

ishq ik hi hota hai ailaan hai
tarq karta hoon main is ailaan ka

saath maa gauri hain meri maut pe
drishy dekhenge sabhi shamshaan ka

इश्क़ मुद्दा है हमारी जान का
ख़ून लेता है ये उस इंसान का

वो न जाने दे पकड़ता भी नहीं
क्या करूँ मैं उस हसीं शैतान का

साथ दे हर हाल में तू मेरा, फिर
नाप लूँगा, कद मैं हर तूफ़ान का

पूछता था मैं तुम्हें क्या क्या लिया
जाने वाले कहता तो अरमान का

है सुनाई देती बस बातें तिरी
अब बता मैं क्या करूँ इस कान का

तेरे होने से है चेहरे पर हँसी
वर्ना सब क्या देखे इस वीरान का

दिल लगाने का हुनर मैंने दिया
क्या गज़ब बदला लिया एहसान का

सीने लगता तू कभी शायद मिरे
फिरता हूँ टुकड़े लिए अरमान का

पास रखना है ये ख़्वाहिश है मिरी
एक झुमका उस परी के कान का

इश्क़ सब कुछ लूट लेता है मगर
मैं मज़ा लेता हूँ इस नुक़सान का

क्या बचा है मुझ में रुख़सत से तिरी
नोचो चाहे जिस्म मुझ बेजान का

इश्क़ इक ही होता है ऐलान है
तर्क़ करता हूँ मैं इस ऐलान का

साथ माँ गौरी हैं, मेरी मौत पे
दृश्य देखेंगे सभी शमशान का

  - Deep kamal panecha

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deep kamal panecha

As you were reading Shayari by Deep kamal panecha

Similar Writers

our suggestion based on Deep kamal panecha

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari