ye subh-subh jo tera khyaal aaya hai
are huzoor bada hi kamaal aaya hai
main kya hoon sach mein bhi unka ya koshishein hain bas
wahan se unki taraf se sawaal aaya hai
nigahe dekhne se qahqohe lagati hai
khuda ke ghar se husn ka jamaal aaya hai
main teer zehar-buzhe se bachoon bhi to kaise
nazar se teer tiri be-mishaal aaya hai
main itna toota muhabbat mein itna bikhra hoon
magar ye ishq ka phir kyun khyaal aaya hai
ये सुब्ह-सुब्ह जो तेरा ख़याल आया है
अरे हुजूर बड़ा ही कमाल आया है
मैं क्या हूँ सच में भी उनका या कोशिशें हैं बस
वहाँ से उनकी तरफ से सवाल आया है
निगाहे देखने से क़हक़हे लगाती है
ख़ुदा के घर से हुस्न का जमाल आया है
मैं तीर ज़हर-बुझे से बचूँ भी तो कैसे
नज़र से तीर तिरी बे-मिशाल आया है
मैं इतना टूटा मुहब्बत में इतना बिखरा हूँ
मगर ये इश्क़ का फिर क्यूँ ख़याल आया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Husn Shayari Shayari