main unki nigaahon mein jab dekhta hoon
to yun lagta hai unke dil ki dava hoon
ye kya ishq se is qadar main judaa hoon
ki jaise mukammal jahaan se khafa hoon
mujhe mat sambhalo main paagal bana hoon
na jaane kahaan yaadon mein chal pada hoon
mujhe dekhen hi maaron sab pattharon se
main bin uske jaise koi baddua hoon
muhabbat muhabbat muhabbat muhabbat
mukammal main is lafz ka ho gaya hoon
mujhe dekho tum mat daro ishq waalo
main sab haar ke jeene ka hausla hoon
kisi ghair ka zikr kyun karta hai tu
tujhe kya nahin ilm bhi main tira hoon
kai isse pehle bhi bichhde the mujh se
use kyun na khone ki zid pe ada hoon
agar jism se uske chaahat hai mujh ko
to phir maas khud ka hi main nochta hoon
ya is baar ye shakhs mera ya main khatm
ai mere khuda tujh ko batla raha hoon
bura hoon ya achha hoon chahe jo bhi hoon
magar us haseena ke dil ka pata hoon
vo ghabra ke seene se lag jaaye mere
shab-o-roz tarkeebein ye sochta hoon
मैं उनकी निगाहों में जब देखता हूँ
तो यूँ लगता है उनके दिल की दवा हूँ
ये क्या इश्क़ से इस क़दर मैं जुड़ा हूँ
की जैसे मुकम्मल जहाँ से ख़फ़ा हूँ
मुझे मत सँभालो मैं पागल बना हूँ
न जाने कहाँ यादों में चल पड़ा हूँ
मुझे देखें ही मारों सब पत्थरों से
मैं बिन उसके जैसे कोई बद्दुआ हूँ
मुहब्बत मुहब्बत मुहब्बत मुहब्बत
मुकम्मल मैं इस लफ़्ज़ का हो गया हूँ
मुझे देखो तुम, मत डरो इश्क़ वालो
मैं सब हार के जीने का हौसला हूँ
किसी ग़ैर का ज़िक्र क्यूँ करता है तू
तुझे क्या नहीं इल्म भी मैं तिरा हूँ
कई इससे पहले भी बिछड़े थे मुझ से
उसे क्यूँ न खोने की ज़िद पे अड़ा हूँ
अगर जिस्म से उसके चाहत है मुझ को
तो फिर मास ख़ुद का ही मैं नोचता हूँ
या इस बार ये शख़्स मेरा या मैं ख़त्म
ऐ मेरे ख़ुदा तुझ को बतला रहा हूँ
बुरा हूँ या अच्छा हूँ चाहे जो भी हूँ
मगर उस हसीना के दिल का पता हूँ
वो घबरा के सीने से लग जाए मेरे
शब-ओ-रोज़ तरकीबें ये सोचता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Deep kamal panecha
our suggestion based on Deep kamal panecha
As you were reading Badan Shayari Shayari